यदि आपका साथी आपके साथ वक्त बिताना और आपकी पसंद की चीजें करता है तो यह एक सुखद रिश्ते का संकेत है, आगे पढें।
माहवारी - पांच साल तक सबसे छुपाना
"मुझे माहवारी शुरू हुई जब मैं 13 साल की थी, लेकिन मैंने पांच साल तक इस बारे में अपनी परिवार में किसी को भी नहीं बताया," अनीता कहती है।
अनीता की माँ को उसकी माहवारी के बारे में उसकी शादी से कुछ दिन पहले ही पता चला। तब अनीता 18 साल की थी। "मुझे नहीं लगता की उन्हें मेरी माहवारी में जानने की कोई ज़रूरत थी इसलिए मैंने उन्हें नहीं बताया, और जब उन्हें पता चलना तो चल ही गया," अनीता कहती हैं।
सेक्स एवं इंटरनेट
लाखों लोग इंटरनेट पर गपशप (चैट) करना एवं नए लोगों से मिलना पसंद करते हैं। इस भाग में आप ऑनलाइन डेटिंग व चुहलबाज़ी के विभिन्न विषयों के बारे में पढ़ सकते हैं।
आप यह कैसे सुनिश्चितकर सकते हैं की साइबर स्पेस में आपका मेलजोल आपके व दूसरे व्यक्ति दोनों के लिए ’सुरक्षित एवं सुखद अनुभव रहे?
ऑनलाइन चुहलबाज़ी एवं इंटरनेट डेटिंग पर सुझाव के साथ इंटरनेट पर प्यार के बारे में पढ़ें। इंटरनेट पॉर्न वेबसाइटों पर सेक्स से जुड़ी तस्वीरों एवं विडियो से भरा पड़ा है। असल में पॉर्नोग्राफ़ी है क्या? इसकी वास्तविक जीवन के सेक्स से कैसे तुलना की जा सकती है? और क्या इसे देखना ठीक है?
इंटरनेट पर पॉर्नोग्राफ़ी के बारे में पढ़ें।
आप सिर्फ इंटरनेट पर सेक्स देखने के अलावा और अधिक भी कर सकते हैं - आप वास्तव में सेक्स में भाग ले सकते हैं - उदाहरण के लिए वेबकैम द्वारा ’(कॉम्प्यूटर व इंटरनेट के साथ इस्तेमाल किया जाने वाला कैमरा)। क्या ऐसा करना लौकिक होगा? और यदि आप ऐसा करते हैं तो आप कैसे इसे आनन्ददायक एवं सुरक्षित बना सकते हैं?
ऑनलाइन सेक्स के बारे में पढ़ें।
![]()


pyar ke bad sex hona jaruri hai ya nahi
jaise kisi ko koi pyar karta hai toh uske sath sex raletion jaruri hai kya admi sex ke liye pyar karta hai
Nahin Bilkul Nahin. Yeh koi
Nahin Bilkul Nahin. Yeh koi zaroori nahin. Sex tab hee keejiye jab aapka dil , dimaag aur jism poori tareh se ready ho, iske liye tayyar ho. Yadi koi aapse yeh keh raha hai ki pyaar dikhane ke liye aapko sex karna hee hoga, toh woh aapko blackmail kar raha hai. Us se palat ke kaho, "toh pyaar karte ho to sex mat maango..." phir dekhtey hain.
Pyaar sirf pyaar keliye, aapki khoobiyoun ke liye, dosti, yaari, apnapan ke liye ho toh bahut hee achcha, sex uska hissa bane, aur bhi achcha, sirf sex ke liye ho to shayad woh pyaar nahin, woh bhi theek hai, sex pyaar ke bina bhi ho sakta hai, lekin Bhai phir pyaar ka daava mat karo, hain na?
Sex
Meri ek andu bra ho gya hai doctor ko dikhaye to doctor ne bola ki mai andu se pani nikalna parega or andu se pani nikal liya fir bola ki job andu mai fir se pani aayega to medition cra denge to thik ho jayega plz btao n aunty
Beta jo aap keh rahein hain
Beta jo aap keh rahein hain woh lagta hai ki Hydrocele hai. Isme doctri salah hee paki madad kar saktee hai. Chinta mat keejiye, relaxed rahiye aur dctri salah maante rahiye. All the best
sex ki icha hoti hai bahot magar jaldi santusht ho jati hu
mai female hu mere partner k sath sex karneki koshish karti hu magar jaise hi wo penic touch karta hai mai santush ho jati hu to sex nahi kar pati aisa kyu hota hai.
Kyaa ap yeh keh rahee nhain
Kyaa ap yeh keh rahee nhain ki jaise hee apke partner ling ka pravesh karte hain, aap santusht ho jaati hai, yaani ki Orgasm ho jaata hai , yes? Aur partner ko isse koi santushthi nahin milti, yes?
OK so ime koi badi baat nahin, aap dono ko thoda system change karna hai. Aapko unki uttejna badhane mein zyada role nibhana hai aur apni ko thoda peeche, phir jab aap dono ready ho, to pravesh ka sochiye aur phir bhi yadi ek partner ka pehle ho bhi jaye toh doosre partner ko santushti pahuchane mein madad karein...
Ab yehi toh baat hai, ki ek partner ko aanand mil jaue aur woh palat ke sex se door ho jaye, aur doosre ko asantusht chode de, toh dono mein bahut jald, Ann Bann, hone ke poore chance hain, I tell you.
Aunty Lover
muje matured female pasand jo mujse chat karna chahe to yahoo mesenger id he:
Aunty Lover
Oye Aunty Waari, Aunty Sadke... aunty ko dekha nahin aur lover bhi ban gaya!!
Jitne log, utni khawisheyien, har khawasish apni jageh par theek, as long as dono partner is ke liye ready ho, iska matlab samjhtey hon aur adult hon... phir pyaar karne mein koi roke nahin!!
Condom zarror saath rakhna, yadi woh mahila married hon toh unka kum u se ek aur partner hai, so chahe Aunty jo bhi bole, ye ek se adkhik parter ho gaye na- so be careful!
Aur mujhese koi chat -vat ki umeed na rakhna, samjha!!!
ladki ko shuna
kya ladki ko shu kar hi har kya ja skta h ya bhi ladki ka bhi man kartha h saxy karn ka kitni age thk saxy k man karth h
???
Koi bhi Aunty ko samjha dena ki tumne likhaa kya hai, toh mein ek proze doongee!!! beta ji- palle hee nahin padee baat... phir se poocho... clearly
mere shadi ke 2 sal ho gaye
mere shadi ke 2 sal ho gaye merebibi ka baccha nahi ho raha hai.
No Conception yet
Ok beta. Sabse pehle, kya aap dono, ling ka pravesh yoni mein kar ke, discharge whan hee kar rahein hain? Kya aap sahi dino mein sex kar rahein hain... yani tab jab mahila ke shareer mein anda bahar aa raha hai- iske liye kya aapne kisi se poocha hai? Sabse pehle, kisi bhi nazdeeke swasth kendr main jaa kar yeh pooch lo ki "sahi din" kaun se hain. Phir jo sex waali baat maine kahi hai. aap sochtey honge ki aunty yeh kaisee baat bata raheen hai- lekin beta nav dampati kabhi kabhi bahut confused rehte hain kyonki unhe guide karne ko koi nahin hota.
in sab baaton ke baad, yadi phir bhi garb dharan nahin ho raha, then beta please ek doctor ke paas aap dono ki jaanch karvaiye- DONO Ki. Kisi ved hakeen ke paas nahin, seedha ek registerd doctor ke paas, sarkaari haospital mein koi ho toh pehle wahan jaayein. All the best beta, aapko bhi aur aapki wife ko bhi.
Ek last baat, aap dono bilkul cool rahiye, ek doosre ko support keejiye,koi jhadga nahin, koi dosh aaropan nahin...bilkul ek doosre ka saath nibhate hue, sex bhi enjoy keejiye aur jo salah dee hai usko try keejiye.
sex with sister
me apni behan ko kaise uttejit karu,apne saaath sex karne ke liye.....sujhaav dijiye
THEEK USS HEE TAREH JAISE
THEEK USS HEE TAREH JAISE MAIN UTTEJIT HO RAHEE HOON TUMHE BADI DAANT LAGANE KE LIYE!!!!
Tum adke yeh sab baatein yeh Blue films dekh dekh kar aur chat rooms mein yeh bakwaas baatein kar ke, thode Crack ho gaye ho!!!
Bhai - behe ka rishta sex ka nahin hai- Bilkul yeh sochna bhi mat.
Ek minute ke liye socho ki tumne usse behla phusla ke pata bhi leeya toh us par kya beetey gee?? Mere apne bahi ne mera shareerik shoshan keeya- jisse mein rakhi baandhtee hoon?? Rakshak bana Bhakshak???!!!
Jo ladke yeh behen, bhanjee, ya apne hee rishte main kisi ladki ko patane kee sochte hain na, unhe main ek hee nigaah se dekhtee hoon beta- ki tumhe aur koi ladke to mili nahin, itnii to khoobi hai nahin tumme, to tum chale apne risheton ka pahyda uthane, apne hee ghar mein haath daalane, apni mardangee dikhane?? yeh sex nahin Sattta Hai, apna zore kisi pe dikhana, us par jis par tum haavi ho sako!! Itne hee Stud ho to kisi smart ladki se dosti kar ke dikhao, sex baad mein dekh leygey!!
Mood Kharaab kar deeya Aunty ka. Chalo!!
sukranu ki kami
anty jee namastey agar sex sahi din me ki jaye jab ladki ka anda bahar aata ho fir v agar wo pregnent nahi hoti hai to kya BOY k sukranu me kami ya fir uska sukranu kamjor ya fir uska sukranu unhealthy hai, aisi v koi chiz hoti hai kya..........?
No Beta NO!! Sahi dino ka jo
No Beta NO!! Sahi dino ka jo system hai na, woh hum kehte hai ki garbhdharan ke Chance badah deyata hai, koi insatnt coffee machine nahin hai... ok beta? Just relax. Yeh koi 2-4 baar mein ho jaye aisa kuch pucca nahin hai... ek toh woh din thek se calculate kar lo, aur un dino mein kum se kum ek baar sex ho, aur discharge andar hoo aur masturbation avoid keejiye. Bas. Relax and enjoy sex, shukranu ki tabiyat baad mein dekh leynge, Ok?
regarding for sex
aunty g namstey aapke sabhi post pde aapki thnking se aap knowledgefull lagti ho.plz dont mind .actqually anty g mene apni grlfriend ke sath sex krna chaha to sahi time ni mil paya kuch na kuchh problm aajati ..or ham dono rah jate bina sex kiye .ab hamare relation ko 2 sal ho gye he ..vo ab mana krti he sex ko kahti he jb time aayega ho jayega .to koi esi advice do jisse vo sex krne ko ready ho jaye ya vo jab mujse rum me mile to kya esa karu jisse vo sex krne ready ho jaye ..plz help me ,me abhi tak virgin hu apni grlfrnd ke sath krna chahta hu plz help me aunty ..aapki ati krapa hogi..thnx nd namstey g..
O beta ji, jo mein kehne jaa
O beta ji, jo mein kehne jaa rahee hoon us mein koi kripanahin beta!! Ab jab woh keh rahee hai to yehi final hai beta jee- jitnee jaldi maan lo so behtar.
Room mein aisa toh koi Jaadu nahin kar saktey ki aapko dekhtey hee woh ek din Lapak ke tayyar ho jayegee... woh abhi itni interested nahin hain, Bas. So apni dosti aur pyaar ko aage badhao, na ki apni Virginity Khone ki planning.
REGARDING for help me
aunty g namstey .actqually aunty g me apni girlfriend ki vajah se study ni kr pata continiously .koi esa tarika he jisse mera breakup bhi na ho or study bhi free ho kar kar saku.agr me study krte vkt uske msg ka reply na karu to ladai wale msg krne lag jati he fir mera bhi mind kharab ho jata he .to fir study ni kr pata continiously so plz help me to deal this problem....
Hain?? yeh saathi hai ya
Hain?? yeh saathi hai ya adiyal haathi? beta please, ye samay nahin hai in sab baaton ka... aap please sirf ek baar aur unhe samjhane ki kosish keejiye, kahiye ki aapko unki madad ki zaroorat hain na ki is shaq aur jhagde ki. Iske baad bhi yadi woh aapki help nahin kartin toh kya yeh sach mein aapki saathi hai beta??
Please guilty mat mehsoos keejiye. Sirf aur sirf study pe focus keejiye. Woh naraaz hon tab bhi aur unse poochiye ki woh har sms ka jawaab ki umeed kartin hain toh kya aap unse koi umeed kar saktey hain ya nahin??
Hosla Bulund rakho aur padhai karo. Shabaash.