लव मैटर्स वेबसाइट प्यार, सेक्स, रिश्तों और इनसे जुडे सभी मुद्दों के बारे में सुरक्षित, संतोषजनक और निरपेक्ष जानकारी देती है। इस वेबसाइट के निर्माता है रेडियो नेथेरलैंड वर्ल्डवाइड

माहवारी - पांच साल तक सबसे छुपाना

"मुझे माहवारी शुरू हुई जब मैं 13 साल की थी, लेकिन मैंने पांच साल तक इस बारे में अपनी परिवार में किसी को भी नहीं बताया," अनीता कहती है।

अनीता की माँ को उसकी माहवारी के बारे में उसकी शादी से कुछ दिन पहले ही पता चला। तब अनीता 18 साल की थी।  "मुझे नहीं लगता की उन्हें मेरी माहवारी में जानने की कोई ज़रूरत थी इसलिए मैंने उन्हें नहीं बताया, और जब उन्हें पता चलना तो चल ही गया," अनीता कहती हैं। 


महिला का शरीर

महिला का षरीरइस भाग में महिला के शरीर के बारे में पढ़ सकते हैं, वह कैसा दिखता है और कैसे काम करता है।

stan tight hona kisi ladke ko dekh kar........

jab mai kisi ladke ko dekhti hu to pata nahi muze kya ho jaata hai....apne yoni me bahot ajib sa fell hota hai aur mere stan (boobs) bahot tight ho jaate hai.......yoni mer gilapan aa jaata hai..........isse bachne k liye kya karna chahiye ? aur jab aisa hota hai to mai apne hi ungliya apne yoni me daalti hu...please help me.........

Beta aap exactly kya help

Beta aap exactly kya help maang rahee hain? yeh bahut hee common stithi hai. Jis tareh se mardon mein ling mein tanaav aana sex ki uttejna ki nishani hai, us hee tareh, yoni mein geelapan ya apne aap ko sehlaane ki ichcha bhi wasie hee hai. Jab tak aap apne aap ko koi haani ya takleef nahin pahucha rahee, isme koi pareshan hone ki baat nahin. 
yeh lekh bhi padh leejiye : http://goo.gl/CYo23

Aunty ji meri umar 27 saal

Aunty ji meri umar 27 saal hai aur mujhe shaadi k faisla krna hai. ek ladki sai baat bhi chl rhi hai,uski umar 24 saal hai,lekin uske stan na k barabar hai. ye normal hai? ya koi deficiency hai?. plzz plzz help me out. main ye jan na chahta hu ki is se age chl kr married life main koi problem to nhi.

Waise toh HAR kisi ke shareer

Waise toh HAR kisi ke shareer mein ek side doosre side se thoda bada hota hai, kaan, haath, sthan, andkosh, paon... lekin yeh itna saaf nazar nahin aata. Jaise yadi aap apne haath par apna hee doosra haath rakhey toh aap dekh saktey hain ki ek side thoda sa bada hai, hain na? Us hee tareh breast size mein bhi maamooli sa phark hota hai. Lekin yadi dono breast size mein bahut hee zyada phark dikh raha hai toh unhe bhi doctor se salaah toh leynee hee chahiye, apni jaankari ke liye, swasthy ke liye. Vivahit jeevan par uska kya asr hoga , yeh toh main nahin keh saktee. Ek baar doctor se milen mein koi hraz nahin... ap sab ko itminaan ho jayega.

meri gf ko jab mene pahli bar

meri gf ko jab mene pahli bar sex kiya tha to use bahut dard hua tha or bahut sara khun bhi nakla tha ab bhi jab me apna ling pahli bar uski uni me dalta ho to use bahut dard hota hai fir bad me thik ho jata hai or wo bhi maze lene lagti hai esa q hota hai.

Partners ke beech sex mein

Partners ke beech sex mein dard aur takleef ka koi role nahin. yadi yeh ab bhi ho raha hai toh ho sakta hai woh theek tarh se relxed nahin , ya sex ke liye ready nahin hain. Us mein thoda waqt deejiye, ki unki body ling ko andar lene mein tayyar ho aur dard ka ehsaas kum ho. yeh padh leejiye , please http://goo.gl/IZVvp

virginity test

kya koi aisa tarika hai ki hum jaan ske ke mere gf matlab meri hone wali lyf partner virgin hai ki nahi . kya usne pahle kv sex kiya hai matlab huke kv cheat kiya hai

Beta sabse bahumulya baat,

Beta sabse bahumulya baat, aap apni girlfriend ko trust kartey hain ya nahin? Kya aapke mann mein unke prati koi shaq hai- jo ki yahan dikhayee de raha hai... toh phir humare laakh manane par bhi, aapko koi santushti nahin milne waali.
Ladki ne sex keeya hai ya nahin iska AAM pranam hai pehli baar sex karne mein jhilli ka tootna. LEKIN yeh bhi aam baat hai ki yeh koi pucca pramaan nahin. Jhilli kisi bhi vajeh se toot saktee hai, yeh aapko pata hona chahiye... tez daudne se, scooter pe baithne se, baith ke poncha lagane se, sports ya khel kood mein.
Yadi aapse koi pooche ki aapke paas kya saboot hai virgin hone ka, toh de saktein hain?
Betaji pehle Trust aur Vishwaas... phir pyaar. Aur chalo maan lo unka kisi ke saath tha bhi, toh kya hua beta... unka vyvhaar, aacharan, aapke prati prem... in sab ka koi mulya nahi? Sirf ek yehi cheez ka mahtv hai?
Thande dimaag se sochiye.

om indore

hello aunty ji, meri sadi abhi 17 jan-2013 ko hui hai n me sex bhi bhut achee se n bhut der tk kr leta hu pr meri wife ko orgasm nhi hota sayd pr vo sex me bhut mje leti hai n hm 2-2 hour tk sex krte rhte hai pr me use purn rup se khus rkhna chahta hu me kis trh sex kru ki use orgasm prapt ho jaye n hm abhi baby nhi chahte hai es liye muje jb bhi orgasm hota hai me apna viry yoni ke baahr hi nikalta hu pr aap muje or koi upay btaiye jes se hm sex ka aand bhi pura le ske n baby bhi na ho abhi. idu ke baare me adik jankari nhi hai kya ye saf hota hai. plzz reply soon

Hmmm. Yadi mahila ko sex mein

Hmmm. Yadi mahila ko sex mein uttejna na mile, ya excitement na badhe, toh orgasm hone mein bahut lamba samy lag askta hai. Pehle yeh pata lagaiye ki unhe sabse adhik uttejna kahan kahn hoti hai. Kya aapne Clitoris ya Titni ke baare mein suna hai? http://goo.gl/yZuRe, yeh zarror padh leejiye.
Ab rahee baat Family Planning ki, Bahut hee achcha idea. Lekin discharge bahar karna, NOT SAFE, bilkul surakshit nahin! Aaj ki taark mein bahut se upay hain, IUD un mein se ek hai, lekin aam taur par ek bachche ke baad suggest keeya jaata hai. Please yeh link padh leejiye aur chahein toh kisi achche doctor se bhi mil leejiye. All the best. http://goo.gl/GrXoV

thanks aunty ji

whi nhi ham dono ek dusre ko bhut pyar karte hai. aur hamne kabhi aisi galti nhi ki thi par aisa pahli bar huaa hai. mai aapka har answer bhut dhayan se padata hu chahe o kisi dusre ke bare me hi kya na ho mujhe iasase bahut hi achchhi -2 jankai miljati hai. iaske liye aapko thanks.

agar nischt date par mc na aaye to kya kare

hi aunty jaisa ki maine aapko pahle hi bataya tha ki maine mc aane ke 7 din bad hi apni girlfriend se sex kiya tha aur abhi uska mc nhi aaya 30 ko aana tha. mai kya karu kuhh medicine bataiye mari shadi ho gayi hai aur wah abhi kuaari hai o khi aa ja bhi nhi sakti jijase mai usko kisi doctor se dikha nhi pa rha hu, please aap koi achhi si medicine ka nam mujhe batiye jo mai use de du aur sab kuchh pahle jaisa ho jay, mai aap se wada karta hu agali bar asi galti nhi karnga bina condom ke kbhi nhi, thanks

Umm Hmm!! beta kya aap logon

Umm Hmm!! beta kya aap logon ne Home pregnancy jaanch kar lee hai? Kisi bhi chemist se aapko yeh chota sa test kit mill jayga, lag bhag Rs.100. Usme pregnanacy ki jaanch ghar me hee ho saktee hai. Pehle woh kar lo.
App medicine ke liye pooch rahein hain toh isse lagta hai ki shayad apki gf pregnant hain. Beta medicine toh mere paas nahin, yeh sirf aur sirf ek medical doctor hee kar saktey hain. PLEASE kisi panjeekrit seva ya swasth kendra par jaaiye, TURANT.
Aap keh rahein hain ki woh ghar s ebahar nahin aa sakteen, koi raasta dhoondhna hee hoga, akhir aap log mil bhi toh rahe they, tab to woh bahr aa hee raheen theen na. 
Abhi jaldi hee doctor se milleyngey toh dawai ke raste kuch ho sakta hai, varna thoda sa bhi aur delay hua to proper garbhpaat karvana padega... yeh soch leejiye.
Aur apni gf se poochiye, ki Aunty pooch raheen hain, ki marreid aadmi ke chakker mein kyoun padee hui hai.
JALDI KEEJIYE,  yeh sirf unki nahin, aapki bhi bahut badi zimmevari hai.

Dar lagta hai pati se sex karne me

Meri sagai ho chuki hai, maine sagai se pahle apne boyfriend ke sath 4-5 bar sex kiya hai, par condom ke sath, ab hum baat hoti hai par relationship nhi rakha, 4-5 month se humara koi relationship nhi rakha, Meri November me shadi hai, ab mujhe dar lag raha hai ki shadi ke baad agar mere husband mere sath sex karte hai to kya unko sab pata chal jayega, ki maine pahle sex kar chuki hu, isi dar se mai apne husband se thik se baat nhi kar pati hu, mai kya karu.. please reply

OK sabse pehle, sex keeya hai

OK sabse pehle, sex keeya hai ya nahin, yeh koi nahin bata sakta. Iska koi praman nahin hai!! Poori kahani ek jhilli ya hymen pe tiki hui hai jo ki kisi bhi waqt toot saktee hai , jaise ki cycle chalana, tez bhaagna, sports khelna, yahan tak ki baith kar poncha karna. OK? So yeh bata paana ki ladki "kuwaari" hai ya nahin, bahut hee kathin hai.
Ab beta, jo ho gaya so ho gaya. Tumhaari shadi tay hai, ek naya , naveen rishta banane ka time hai, aur tum banane ke bajay use shuru bhi nahin hone de rahee?! Yeh time hai ek doosre ko jaane ka, pehchanne ka, pyaar aur mohabbt ka... unke mann mein kitne armaan ho saktey hain, unhe samjhne ka... ek rishte mein jude ka haseen waqt aur tum yeh sab gavan chahtee hao, kisi darr ki vajeh se? Darr aapko hai, aur tum apne mangetar ke saath pyaar se behave nahin kar rahee, isme us bechare ki kya galti hai??
Come on now. Ab chalo, is response ko 2 baar padho, ek lambi saans lo, aur apne ""hone wale sir" ko ek sweet sa sms bhejo!! Beta abhi daali hui neev aapke aane waali zindigi ko phoolon aur khusbu se bhar deygee, theek use hee tareh jaise ki aapke shaadi ke din pe aapke gajre ke jaise, aapki haathon ki mehndi ke jaise. 
Come on now... ek sms ho jaye aur phir ek date... jisme aap unhe bahar le jayein, ek chote gift dein, ya kuch bana ke ley jayein... aur Apni Aunty ke naam unhe ek thanda sa Nimbu Paani treat karein!!
Mehendi hai rachne waali... 

Hello aunty..mai ye puchna

Hello aunty..mai ye puchna chahta hu ki kya 4.5inch ka ling ladki ki hymen ko break kar sakta hai kya

Hymen hai- Koi Killa nahin!!

O Bhai saheb, yeh Hymen hai, koi Purane Kille ki deewar nahin, jo ki bahut mushkil se toote ya jis pe koi Phateh hasil karne hai!!
Jhiili ya hymen, bahut aasani se toot jaati hai, zameen pe baithe hue poncha kartey hua, tez bahgety hu'e, sports mein, cycle ya scooter pe baithey hu'e. Leejiye, yeh padh leejiye : http://goo.gl/9HC65

ling ka size badhane ke upay

unty ji meri age 22 sal unmarried h or meri height 5.6 inch h mere ling size thora chota h lekin motai to thik h mujhe ye dar h ki kya is chote lund se main apni gf ko khush kar paunga or ek bat bataiye ki mujhe rojana rat ko hastmushan kiye bina neend nhi aati iske liye m kya karun kya isse mere body ko koi nuksan h kya

Common ling size pe jaankari

Common ling size pe jaankari yahain haasil keejiye :http://goo.gl/4ry0F
sex mein santushti ka ling ke size se nahin lekin aap apne partner ke saath kitna achcha sex kartey hain , kiss se unhe bhi santushthi mile, yeh badi baat hai. Aur hast maithun se oi nuksaan nahin.
Kya aapki gf hai? Kya aapko sex ka koi bhi anubhav hai? So phir kaise keh rahin hain ki satisfy nahin payenge... ling ka size badhana hai... kiss "gyaani" ne aapko yeh bataya hai... Blue Films ne?!! pehle "problem" aane toh do... yah pehle se hee man hee man , soche baithe ho!!

pregnancy ho sakti hai kya

maine apni friend ka sath last week sex kiya uska piread aaye abhi kewal 7 din huye the maine pahle uske muh me apna giraya tha fir bad me uske uoni me kiya mujhe laga ki usme bhi kuchh bund gira tha to kya usase usko bachha hone ka dar to hai kya agar mhine bad bhi periad na aaye to kaun si dava di jay jisase uska periad aa kaye. please help me. Thanks

Kehna mushkil hai kyounki

Kehna mushkil hai kyounki dates ka itna pukka pata nahin chalta. so us baat ko hilhaal rehne deyety hain. Yes 2- 3 boond se bhi pregnancy ho saktee hai. 
Yadi period na aye toh aapko ek doctor ke paas jaana hoga. Yadi woh concieve kar chuki hain toh doctor hee guide karegengee ki kaun see dawaiyon ka upyog theek hoga, yaad rakhiye yeh woh dawa nahin hai jiske adverstisement aap TV pe dekhtey hain... woh emergency goili hai, jo ki unsafe sex hone ke phoren baad lene hoti hai. Woh samay toh guzar gaya. Ab yadi gf pregnant hain toh yeh dawaiyen medical abortion kehlateen hain... ONLY ek proper doctor ke zariye keejiyega.
Bahut risks leyetey hain aap log... yadi sharer aapka hota na bachu ji, toh phir mein dekhtee... ab shareer gf ka hai, toh kuch bhi chalega kya?? Aur tum ladkiyan, wasie toh bade naare lagatee ho equality ke, aur aise samay pe bilkul mitti ke maadho ban jaati ho? Apne shareer ko respect karna swayaun seekho... phir kisi aur se umeed rakho.

regarding to pragnancy

maiin pregnent hona chahti hun lekin jb b hum sex kre hai to 1-2 hours baad sprem bahr aa jate hai kya main pregnent ho skti hun

1-2 ghante baad sperm bahar

1-2 ghante baad sperm bahar aa jaatey hain? Matlab? Yoni se veerya jaisa? Kya aap yeh keh rahee hain?
Isse koi pharq nahin padta. Verya ( mard ka paani) mein shukranu ( mard ka anda) bahut tezi se daud kar mahila ke ande se milne ki koshish karta hai... so yadi preganacy honi hai toh woh toh apne aap jald se jald mel ho jayega. Veerya andan rahe chahe bahar aa jaye, usse koi asar nahin.
All the best. Yeh padh Leejiye, sabhi links bhi : http://goo.gl/3nCZp

bacche nhi hote

mera ek bf tha jo ki 8 saal se mere saath tha .par ab meri shaadi khi or ho gayi hi.meine uske saath kai baar sex kiya hi.or mein pregnent bhi hoti thi,par har baar mera bf mujhe misoproste naam ki goli khila deta tha.meine wo goli 15-20 baar khaayi hi.ab hamare beech kuch nhi hi.ab mere pati mere saath sex karte hi par mein kabhi b pregnent nhi ho paa rhi hu.mujhe btayiye kya ho gaya or mein ab kaise pregnent ho sakti hu.sab kehte hi ki mein kabhi b ab pregnent nhi ho sakti.plz mujhe btayiye mere pati ko baccho se bhot pyar hi.or saas bhi bacche ke liye dabaw daal rahi hi.meri shaadi ko 2 saal ho gaye hi.plz help me

Beta , maine aapka sawaal

Beta , maine aapka sawaal subah hee dekh leya tha lekin us waqt mein aap se bahut hee naaraz ho gayee thee  isliye aapko daantna nahin chahatee thee. 
Beta kya tum ladkiyoun ko apne aap ko aur apni body ko koi respect - aadar dena nahin aata? Misoprostol koi emergency contraception nahin, , I pil vigereh jaise... woh bhi itna harm kar saktey hain aur aap  15- 20 baar yeh ley chukin...?? Matlab yeh kaisa pyaar hai? Ki aapne apne shareer par apne aap, itna hamla keeya hai. I am really sad to hear this, very sad.
Ab kyounki do saal ho chukein hain, ab waqt aa gaya hai ki aap ek achchi doctor se mile... kuch bolene batane ki zaroorat abhi nahin, pehle test results aane deejiye. yadi phir woh samkh nahin paa raheen ki kya ho raha hai, toh phir unhe confidence mein le ke unke saath thoda share kar sakte ehain, Yadi aapo un par bahrosa ho toh. 
Kisi jaani maani doctor se appointment leejiye, fertility specialist hon toh behtar.
All the best beta... ab aur main kya kahon, main khud tumhaari chinta mein hoon.

pregnancy related

aunty ji, humne period start hone ke 8ve din sex kiya, but pura nhi kyoki hum abhi baby nhi chahte. uske bad next mnth timely period bhi aa gya. uske bad humne kbhi sex nhi kiya. to kya ab sex kiye bina pregnant hone ke chances he? jo hum nhi chahte...

Pregnancy ke chances sirf tab

Pregnancy ke chances sirf tab hain yadi semen yani ki veerya yoni mein pravesh kar jaye, chahe woh kewal ek do boond hee kyoun na ho.
OK now. Pregnancy se bachene ke liye, bahut se bahut achche upay hai, aap unka istmaal shuru keejiye na!! Condom, OCP, IUD... kitney hee hain... preganancy se bachen ke liye, sex hee na ho... yeh pucca tareeka toh hai, lekin zyada dilchasp nahin!! 
Lo yeh padh lo, aur daaj ki evening walk, chemist kee tarf ki socho!! All the best. http://goo.gl/2rtBA

anal sex

m 27 year old guy..meri girl friend ko guda maithun ka man hota hai per mera penis uski guda mein jata hi nahi..bataiye main kya karoon,wo mera virya bhi piti hai is se koi problem toh nahi.

Guda maithun aam taur pe

Guda maithun aam taur pe isliye mushkil ho sakta hai kyunki woh jageh bahut tight aur sookhi hai. iske liye dono partnr bilkul relax rahein aur condom ka saath hee saath chiknai yukt padarth, jaise ki KY Jelly, Duragel jo ki pani based hote hain, sirf un hee ka istemaal karein. Condom mein chiknai aur suraksha dono hai.
veerya andar lene mein koi aisee pareshani nahin, yeh partners par hee nirbhar hai.

sex karna pasand nahi hai...lekin phir bhi bf piche pada hai...

mera naam swati hai..aunty ji meri ek prob ye hai ki mera bf hamesha muze sex karne k liye kehta hai lekin mera dil nahi bolta us k sath sex karne ko...muze kuch itna interest nahi hai sex me.....but mai apne bf se saccha pyar karti hu lekin usse avoid nahi kar paa rahi hu....aur kabhi kabhi to mera bf muze sidha muze gale laga kar body ko chipak jaata hai ya phir kabhi mere stan & yoni par hath rakh deta bahot hot feel hota hai....to aap hi batao muze kya karna chahiye....

Beta Swati, saaf saaf baat.

Beta Swati, saaf saaf baat. Bache jab tumhe karna hee nahin hai, toh duvidha kaisee? yes yeh bhi possible hai ki woh aapko nazdeek laana chahtey hon, ok, yeh unke mann ki baat hai, lekin aap jab ready nahin, mann se, dil dimag se, toh phir toh yeh zabardati hui na... Just say NO. Unhe samjha do, us waqt nahin jab woh aap par iska zor kar rahe hon, lekin usse pehel, bina gussa ya naraz hue... ki mein abhi tayyar nahin. yeh bhi keh deejiye ki yadi yeh aisa hee chalta raha toh rishte mein darar aane mein waqt nahin lagega, hain na?
Beta sex hum tab karte hain jab hum poori tareh se ready hon isse sweekar kartey hon, iska matlab aur iske parinaam pehchantey hon aur uske liye zimmedar hon. Is liye nahin ki koi humein majboor kar raha ho ya haume darr hai ki kahin woh hume is vajeh se chod na de, tyaag na de... yeh toh beta blackmail hua na?!
Apni baat saaf saaf batao, samjhao, ek nahin baar baar. Lekin kisi bhi kism ke behkave mein mat aao...yeh meri salah bhi hai aur guzarish bhi. Yadi koi bhi BF aap pe kisi bhi kism ka zore daal raha ho, chahe woh pyaar ka vaasta ho, ya dosti ya, cahe woh dhamki ho ya darr, yeh sab shoshan ke roop hain. 
Pyaar mein sabse badi jageh hai izzat aur samman ki, yadi woh nahin, toh pyaar bhi shayd nahin.
All the best Swati, Iam sure tum ek sahi phaisla logi.

thaks acchi salah dene k liye

thanks aunty ji muze acchi salah dene k liye muze aapse yahi ummid yahi thi....aur aapse 1 baat puchni thi ke agar muze sex karna ho to mai apne bf ka ling apne yoni me daal sakti hu kya ? without condom k ? aur kabhi kabhi uttejit hoti hu to mai apne hi ungliya apne yoni me daal kar muze bahot accha feel hota hai....aur Breasts sehlane se bhi bahot khushi milti hai....please reply

Welcome Swati, tum kabhi bhi

Welcome Swati, tum kabhi bhi hume likh saktee ho. Yoni mein Ling ka pravesh yoni maithun kehlata hai aur isse youn aanand mehsoos keeya jaa skta hai. Bina condom sex asurakshit hai, unchahe garbh aur infection ke nazariye se. So is ke liye mein aapko etiyaad bartne ka sujhaav doonge. As long as ling ka pravesh yoni mein na ho, ya thoda bhi discharge yoni ke aas paas na ho, aap aur bhi anek kism ke sex try kar saktee hain, jin se santushthi bhi mile aur pregnancy ka khatra bhi na ho.  Un mein se ek hai ungli ka istemaal, yoni mein aur yoni ke oopar, jisse hum clitoris ya titni kehteyhain. Actually Titni ka role sirf yaun aanand pradaan karne ka hai... yeh link padh lo aur jaankari bhi hassil kar lo. 
Apni body ko jaana aur samjhna har mahila ki right hai. 

breast size badhane ke liye kuchh batao

meri umar 18th running hai meri abhi breast 30 hai achhi figure hi ladki ko or sundar banati hai plz breast ko badhane ke liye kuchh batao

kya sex hone ke bad body devlopt ho sakati hai

aanti ji mai apane bf ke sath ek bar sex kar chuki hun kehete hai ki sex hone ke bad sharir ka vikas nhi ho sakata mere bf ko mene ye samjaya tha lekin vo man nhi raha tha to mujhe ye karana padha vaise to hamare rishte se hum dono ke ghar vale khush hai or 3 sal ke bad hamari shadi bhi karvane vale hai

Shaadi toh jab hogi , tab ki

Shaadi toh jab hogi , tab ki tab deykhenge. Lekin beta aapki baat mein se sabse mahtvpooran baat yeh hi ki, na chahte hue bhi aap sex karne mein agree ho gayee ya kahun ki majboor ho gayee?!!
Beta shareer apka hai, so haq kiska hona chahiye- aapka ya kisi aur ka? Please meri baat ko dhyaan do. jab tak poori tareh se tayyar na ho, razamand na hon, aur phir bhi sex ke liye koi majboor kare, request kare- yeh sab ek kism ka blackmail hee hai. Aur yeh socho ki jo vyakti aapki ichcha aur apke mann ki baat ko, aur toh aur aapke shareer ko aaj manyata nahin de raha woh baad mein kya kya demand kar sakta hai.
Mein aapko bhadka nahin rahee, sirf aaga kar rahee hoon. 
Aur sex ke baad shareer ka vikass nahin hoga yeh mithya hai, lekin aap kiss vikass ki baat kar raheen hain? ek umar ke baad hum sab badhna rok deyte hain, aur woh hai takreeban 18-20 tak. 
bahut see baatien hui hain, jab bhi mann kare yahan likh sakti ho ya phir auntyji.lovematters@gmail.com par bhi. All the best. Woh gaana toh suna hoga, ""saadda haq, ethey rakh....""

Beta ji , Aapko toh mein

Beta ji , Aapko toh mein jawaab dey chuki hoon, aapne padha nahin?  beta aapki aunty ki memory bahut tezz hai, aap log bhool sakteyhao, lekin amuman Auntyji aapko yaad rakthee hain. yeh raha :

Yeh Lo!! Subah ek madam keh

Submitted by rnw on मं, 03/26/2013 - 10:59.

Yeh Lo!! Subah ek madam keh rahee thee kum karna hai, ab yeh choti madam keh rahee hai badhana hai!!
Beta, tum abhi itnee choti ho, abhi body ka poora shape aaya kahan hai... thoda time do beta. Body ko develop hone do, theek se. Tab tak, ek achchi quality ke, proper fitting ke undergarments le lo. Thoda pocket money bacho, ya mummy se keh ke birthday present mein yeh maang lo... unhe bhi yeh slah do , ki achci qulaity aur achi fitting- koi zyada fancy type nahin.
Dont worry beta, jaise thoda weight gain karogee, body apna final shape leygee tumhari body bhi proportion mein aa jayegee, chahe breast size bada ho ya chota, usse koi pharkh nahin padta.
Mere Pitaji kehte they, ladkiyoun ko Kamar Kheech ke chalna chaiye, aur aaj yoga waale bhi yahi kehtey hain. Apni poori lambai mein, kandhe peeche, bilkul Tann ke, jaise ki Duniya ki Raani hao, Raani Beti, tum sab. 

Happy Holi beta!!

Sighra patan

Dear mem meri umr 22 years ki hai lekin maine abhi tak kisi ladki ke saath sambhog nahi kiya hai, lekin mein hasthmathun karta hu, aur mera virya jaldi nikal jata hai mein kya karu..! plz ans me main chintit hu ?

No Need for Chinta beta ji!!

No Need for Chinta beta ji!! Jitnee adhik uttejna uta jaldi patan... bas!! So aap chinta kyoun kar rahien hain, aapko to kisi ko kuch dikhan - batana nahin hai, hastmaithun toh apne anand keliye hai.. so phir kya worry? Jab sex ki baat ayegee aur yadi yeh ho, jo ki Bhaut hee comon hai- tab aap partner ki santushti pe zyada aur apni pe kum time deytey hu'e apni timing set kar saktey hain, So abhi ke liye, relax.

sex

ye kaise jana ja skta h bina chekup k ki ladki ke sath sex ho chuka h

Virgin hai ya nahin

Nahi jaana jaa sakta!! Not at all. Koi certificate toh hai nahin!! Achcha yeh bato ki yeh jaankari se kya laabh, sirf yeh hai ki aapko har kisi ke saath bilkul surakshit rehna hai, condom humesha use karna hai.
Ladki Virgin hai ya nahin, iska koi pramaan nahin, theek usse tareh jaise mard virgin hai ya nahin, achcha sex kar payega ki nahin, uska bhi koi pramaan nahin.

meri patni garbhawati nahi ho rahi please suggest

meri shadi ko 5 years ho chuka hain lekin meri patni pregnant nahi ho pa rahi hain doctor se check up se pata chala hain ki meri patni ke egg bahut chhote hain hain normal size 18-25 hona chahiye jo 8-10 ki size hain hormones bhi unbalaced hain baki sab thik hain kabhi-kabhi to uske yoni se jo pani niklata hain usme badbu bhi aati hain aur maine bhi sex lambe samay tak nahi kar pata hun kabhi-kabhi meri ling loose ho jata hain ya virya bahar nahi niklata hain lakin kisi sunder ladki ya mahila ka khyal dimag main lata hu to virya uske yoni ke ander gir jata hain kya dusre ladki ka ya mahila dimag main khyal lana chahiye aur sex ka sahi position bhi batey jisse ki garbh ruk jaye please suggest - sumit,Mum

OK, beta aap bahut see batein

OK, beta aap bahut see batein keh rahe hain, ek ek kar ke dekhtey hain.
Jahan tak pregnancy ka sawaal hai, uske liye PLEASE ek nahin 2-3 doctors se salah leejiye, better ho yadi sarkari doctor ya hospital ho. Pregnant hone ke liye ling ka pravesh yoni mein hona aur discharge bhi yoni mein hona sabse ahem hai. Sex un dino mein ho jin mein mahila ka anda utsarjit hota hai toh woh bahut better hai, iske liye aapki wife ka period cycle bilkul nirdharit hona chahiye- yeh sab jaankari doctor se lo.
Yoni mein se badbu theek nahin. Yeh ek infection ke kaarn ho sakta hai, ya phir yadi mahila ko apni saaf safai pe aur zyada dhyan dena hai, yoni ke aas paas saaf paani se dhona, saaf towel se ponchna, saaf aur sooti underwear pehena... yeh sab baatein.
Ling loose isliye ho jaata hai yadi sex mein ruchi kam ho... kisi baat se sex se mann hat jaye, so sex ke samay sirf us par hee dhayan rahkien aur partner ko bhi prarit karien ki woh sex mein kuch naye cheezein karein ya apna yogdaan badhayein.
doosri mahilon ke baare mein soch ke sex karna ek niji phaisla hai,  jab tak kisiko is se koi takleef nahin ho rahee.
All the best beta aur doctori salah zaroor ley leejiye.

Breasts size

meri age 21 ki hai mere breasts 34 nim ke ho gaye hai mujhe aise kam krna hai bhut bure lagte hai mujhe plz kuch btaiye....

Ok Bitiya, now relax. Tumhe

Ok Bitiya, now relax. Tumhe yeh to pata hoga ki zyadatar ladkiya chahtee hain ki breasts size bada ho?! But beta bina surgery ke yeh mumkin nahin so please yeh jaan lo.
Ab suno. Awwal, yeh size ab aur nahin badega, sirf pregnancy ke dauraan. Now ho sakta hai tumhe yeh abhi shobha na de rahe hon, kyounki tumhari umr abhi kum hai lekin umar ke saath saath shareer ka shape bhi thoda aur nirdharit ho jayga jisse ki breasts itne bade nahin lagenge.
Aapne apne weight ke baare mein nahin bataya, yadi thoda heavy hon to breast size bhi bada ho jata hai, hai to tissue aur muscle hee. Yadi aisa nahin hai, ki aap bahut patlee dublee hain, toh bhi chest exercise kar ke us area ko thoda tight ya jisse kehte hain toned kar saktey hain, yeh aapki fitness ke liye bhi achcha hai. 
Mein humesha ladkiyoun se kehtee hoon, bahut ache underwear pehno. Mehnge hain, lekin poora saal sabse zyada istemaal hone waala garment hain. Kum lo lekin badhiya quality, perfect fit ka lo, aur yeh sab design, aur "look" pe mat jao.
Beta, your body is beautiful... ek baar phir se dekho apne aap ko. Yeh sharm aur chupna chipaana band karo, aur kandhe peeche kar ke, aur sar utha ke, bilkul garv se, Mahila hona accept karo aur apni body pe naaz karo. 
All the best betiya, Happy Holi

ladkiyo ko kaise pahchane ki wo sex kar chuki hai

ladkiyu ke sath sex ho chuka hai ya hamse sex karwati hai sath me kisi aur se bhi ye kaise pahchan sakte hai.and ling ke akar bhin hote hai to sabhi lingo ke brabar ladki ke yoni failti hai ya lingo ke aakar ke brabar.

Yeh batao, ki ladkon ko dekh

Yeh batao, ki ladkon ko dekh kar bata saktein hain... ki sex keeya ki nahin? Nahin na... toh ladkiyoun mein aisee kya baat hain, hain? Haan ek baat to sahi hee hai, ki yoni bahut lacheelee aur narm see hoti hai, so zyadatar ling ke size ko adjust kar saktee hai, lekin tab jab yoni mein chiknai ho, relaxed ho. varna chota size ka ling bhi bahut dard aur takleef kar sakta hai...so zaroori yeh hai ki yoni mein chiknai ho, mahila razamand ho relaxed ho, tab yoni size ko adjust kar saktee hai. Aur haan, eyh koi bottl ka dhakkan toh hai nahin ki bilkul hee exact fit ho, kabhi nahi bhi ho pata to bhi theek hai.

sex

aaj 4 year pehle mera ek aurat se najayaz samband tha main usedin me 4--5 baar karta tha aur wo bahaut kaamuk thi mujse wo bahut santust thi ab uske pati kA transfer ho gaya hai to mujhe sex karne ka bahaut mann hota hai aaj kal main hastmaithun se kaam chala raha hu aur jis kisi bhi ladki ko dekhta hu mera ling khada ho jata hai.....meri ek choti behan hai 18 ki wo kafi khule mijaaj ki aur bahut sexi hai but meri bahan hai to bhi usse dekh kar mera lingkyu khada ho jata hai plz suggestion dijiye plzzzzzzzzzzz

yeh kya aur kyon

18 saal k behan, khule misaaj ki- iska kya matlab hai, khule misaaj ki? woh aap se hans ke baat kartee hai, pragtisheel soch rakhtee hai... so aapne iska yeh matlab nikala ki woh aapke saath sex mein tayyar ho jayegee??  Ager yeh baat main door rakh bhi door ki woh behan hai, phir bhi kyaa unka misaaj aapke liye koi aamantran hai? Ho kya gaya hai tum ladko ko?
Ab rahee baat behen ki. aisa kyon nahin hota ki aap ke pados main ya office mein koi badhe audhe ki lady, ya koi Dhaakad type aurat ko dekh ke "ling khada ho jaata hai".... nahin, yeh nahin hota. Pata hai kyon kyounki aap aur aap jaise hazaron mard, Dartey hain, Kayar hain.
Apne se choti umar ki, ghar mein choti, aapse pyaar ya izaat se pesh aane waali par apni Dhons jama saktey hain toh unhe dekh ke aap log aakarshit ho jaate hain aur mauke ka phyda uthane ki sochte hain. Yeh Power hai, satta. Kisi Jhansi Rani type ko dekh ke toh yeh sab nahin hoga, tab to tum jaise ladka apne hee dono paon par phat khade ho kar Salut maarte hua nazar aaoge.
Apni soch swasth karo!! 

sex me kami

meri bibi ka sex karne me man nahi lagta yesa wo sex ke bare me bat karne par batati hai. aor unke rawaye ko dekh kar muche bhi ahi lagta hai. me sex jayada der tak jayada nahi kar pata ho. kya ye uski wajah se hai. ya ye unka apna swabhaw ho sakta hai.

संभोग के दौरान सिर्फ लिंग पर ध्यान केंद्रित ना रखें, शारीरिक सुख देने और लेने के लिए एक पुरुष के शरीर में और भी अंग हैं। आगे पढ़ें।

आर एन डब्ल्यू - १० भाषाओँ में होलैंड से समाचार एवं विश्लेषण, दुनिया भर में २४ घंटे सातों दिन रेडियो, टेलीविजन और इन्टरनेट पर I