लव मैटर्स वेबसाइट प्यार, सेक्स, रिश्तों और इनसे जुडे सभी मुद्दों के बारे में सुरक्षित, संतोषजनक और निरपेक्ष जानकारी देती है। इस वेबसाइट के निर्माता है रेडियो नेथेरलैंड वर्ल्डवाइड

माहवारी - पांच साल तक सबसे छुपाना

"मुझे माहवारी शुरू हुई जब मैं 13 साल की थी, लेकिन मैंने पांच साल तक इस बारे में अपनी परिवार में किसी को भी नहीं बताया," अनीता कहती है।

अनीता की माँ को उसकी माहवारी के बारे में उसकी शादी से कुछ दिन पहले ही पता चला। तब अनीता 18 साल की थी।  "मुझे नहीं लगता की उन्हें मेरी माहवारी में जानने की कोई ज़रूरत थी इसलिए मैंने उन्हें नहीं बताया, और जब उन्हें पता चलना तो चल ही गया," अनीता कहती हैं। 


प्यार एवं रिश्ते

प्यार, रिष्तेप्यार क्या है? प्यार के कई रुप होते हैं। जिन लोगों को आप प्यार करते हैं, वे अक्सर वो लोग होते हैं जिनके साथ रहना और समय बिताना आपको अच्छा लगता है। ये वे ही लोग हैं जिन्हें खो देना आप सहन नहीं कर सकते हैं। और वे जिनके बारे में आप सबसे ज़्यादा परवाह करते हैं।

दूसरी ओर, भले ही कोई व्यक्ति आपके साथ बुरा वर्ताव करें या आपको दुख पहुँचाएं, आप तब भी उनसे सचमुच प्यार कर सकते हैं । आप अपने माता-पिता, अपने परिवार, अपने मित्रों या किसी पालतू जानवर और अपने साथी के लिए अलग अलग रुप में प्यार महसूस कर सकते हैं।

प्यार करना एवं प्यार में होना
किसी को प्यार करना एवं उनके प्यार में होना, एक ही बात नहीं है। एक रिश्ते की शुरुआत किसी के प्यार में होने जैसी होती है, जब आप सिर्फ़ दूसरे व्यक्ति की अच्छाइयाँ ही देखते हैं और एक तरह से अपने आप को बादलों में घूमता हुआ पाते हैं! कुछ समय बाद इन भावनाओं में बदलाव आ जाते हैं, और तब दूसरे व्यक्ति के लिए आपकी भावनाएं अधिक गहरी, स्थिर, मधुर एवं परवाह करने वाली हो जाती हैं - आप उन्हें प्यार करने लगते हैं।

क्या आप पहली नज़र के प्यार में विश्वास रखते हैं ?
आप किसी ऐसे व्यक्ति को भी प्यार कर सकते हैं जिन्हें आप ठीक तरह से जानते भी नहीं। या किसी दोस्ती के रिश्ते में भी धीरे-धीरे प्यार पनप सकता है। और कभी कभी कुछ लोगों के लिए तभी प्यार की शुरुआत होती हैं जब उन्होंने साथ में सेक्स किया हो।

सामान्यतः प्यार कई चरणों में पनपता है
सबसे पहले यौनिक आकर्षण का आवेश या जुनून होता है, फिर एक बेहद सुंदर, जबरदस्त़ या अत्यधिक तीव्र प्यार में होने वाली भावना और फिर अन्ततः एक गहरा लगाव जो समय के साथ पनपता है और कई सालों तक या जीवन भर रह सकता है।

mai bahut paresan hu

mai ak ladki se bahut pyar karta hu aur ak sal se ham dono me rista tha lekin ak ham dono me ladai hui ak bat ko lekr wo apne coching gayi thi sande ke din jab coching band tha aur uske ghar me kiraye pe ladka rahta tha jo ab nahi rahta hai wahi coching me bulaya tha mai puchha ki kyo gayi thi cochhing me to kahti hai ki bhaiya se sawal puchhne gaye the bas mujhe sak hua phir mai pata lagaya to wo kuchh aur karne gayi thi aur kasam bhi khati hai ki mere siwa uske life me koi nahi hai lekin mai kaha ki tum mujhse milo to usne bahana banaya ki uske ghar wale jan gaye hai aur coching bhi band karwa diye hai aur ghar se niklne nahi dete mujhe akele phir mujhe pata chla ki wo cochng jati hai phir mai uske mami ke pas call kiya to uski mami kahti hai ki mai bat nahi nahi krwa sakti aur kahti hai wo mana karti hai ki mai bat nahi karna chahti ak din uske ak dost ke pas call kiya aur usse kaha to uski dosti boli ki wo kahti hai ki uske bare me bat na kiya karo itna sunne ke bad mai phir uske mami ke pas call kiya to uski mami se bola bat kar do to wo boli ki mai bat nahi kara sakti to mujhe gussa aya mai uski mami se bol diya ki mai ja raha hu marne lekin mai to marunga lekin usko chain se jine nahi dunga to uski mami kahti hai ki jao chahe mro ya kuchh karo mujhse matlb nahi hai phir dusre din uski mammi ka call aya wo mujhe dhamki di ki agar mai uske coching gaya to use paresan kiya to jaan se marwa dengi wo ladki aaj tak mujhse bat nahi ki aaj 20 din ho gaya plz help me anty ji

Samasya yeh hai ki aap log

Samasya yeh hai ki aap log yeh marne- maarne waali filmein dekh deh kar sahyd thoda zyada hee prabhavit ho gaye hain- varna aisa behaviour kaun karta hai!! Pyaar karety hain ya darra rahein hain? I cant understand. Woh keh rahee hain ki aapse ab koi dosti nahin rakhan achahtee- theek hai- unki , yadi keh sakein toh, galti sirf yeh hai ki unhono aapko koi vajeh nahin dee... shayad kyounki woh aapke taur tareeke jaantin hain. Ab woh har tareh se manaa kar raheen hain, aur aap unke khandaan ke log, yahan maami tak pahunch gaye?! Phir pehle pyaar se request kar rahein hai aur phir Dhamki dei rahein hain... yeh kaun sa pyaar karne ka tareeka hai?
Apne aap par kaboo keejiye, yeh sab drama bandh keejiye aur chup chap apni zindigi mein busy ho jayiye... yeh ek kism ka shoshan hai- Bandh keejiye yeh sab.
Sahi hai ki jab humaara sabse kareebi hume tyaag deyta hai toh hume bahut dukh hota hai, hum tadap jaate hain. Aapne bahut koshish kar lee, woh interetsted nahin hain, so ab apni garima haath mein le kar, is stithi se bahar aajaiye, khud bhi shanti se rahiye aur unhe bhi rehne deejiye.
Zindigi mein bahut se makaam aatey hain, un se seekh lekar aage badhna hee ek mature insaan ki nishani hai. All the best.

about sex

auti ji main jab bhi sex karta hu toa uski uoni main ling hi nhi jata kya wajah hain or mujhe kisi girls ya shadi shuda orat kain sath sex karna ho toa main unhey kaise raji kar sakta hu ?

Agar ladki ki uttejna badhina

Agar ladki ki uttejna badhina ho, ya partner ne unhe tayyar na keeya ho, ya woh tense ho, darte hon ya yoni mein chiknai nahin ban rahee ho.. jo ki uttejna ki nishani hai, toh phir yoni mein pravesh karna, bahut kathin hai. In sab baaton pe bahut dhyaan dena hota hai.
AB kisi ko kaise ""patana " hai yeh toh beta hum nahin bata saktey- chahe woh shaadi shuda ho ya nahin. Aur yeh baat aap logon ke mann mein kahan se aa rahee hai ki shaadi shuda mahilayein bahut jaldi "pat" jaati hain? 

hiv..

aunty ji agar hi positiv ke sath sex krne se hi hiv hota he ..nrmal ke sath bina condom sex kuch bhi krne se hiv ni hota he na ...

Normal? HIV + log bhi Normal

Normal? HIV + log bhi Normal hee hain beta!!
Haan yeh sach hai ki yadi kisi ko HIV na ho, aur is baat ka hume PUCCA pata ho, toh aap Unsafe sex ke baare mein soch saktey hain. LEKIN iska yeh matlab nahin ki unchaha garbh ya phir koi gupt rog nahin ho sakta. Sirf HIV hee nahin, yaun rog/gupt rog bhi bahut hee common hain jinke HIV ki tareh ko lakshan nahin

oral sex- sirf

hello mam may kisi aurth ke saath 1 ye se oral sex karta hu lakin mere saath usko kuch filling nhi hota wo mujhe sub kuch karnew deta hai magar yonsambhand nhi karne deta hai pellese koi upai bataye................

Beta Ji, kya aap yeh keh

Beta Ji, kya aap yeh keh rahein hain ki  aap sirf Oral sex kartey ahin lekin praveshit sex, yani yoni maithun ya kisi aur kism ka sex nahin karte? Kissing, aalingan, hast maitun, yeh sab? Suniye, ho sakta hai ki aapki partener yoni sex mein utarne mein keen na hon. Ki woh yeh sex nahin karna chahtee, jo bhi unki vajeh ho, hain na? So unki marzi ko toh nazarandaaz nahin kar saktey... lekin haan kuch naya try kar saktey hain, aur yeh sirf woh hee bata sakteen hain, hain na. 
Beta, sex mein koi force nahin hoo sakta... kisi bhi tareh. Ok? 

hello mam mujhe ladkiyo sain baat karne main

hello mam mujhe ladkiyo sain baat karne main hagitation filling kyo aati hain. main jaise he ladkiyo kain samne jata hu kya pata mujhe kya ho jata hain par main mobile par ya facebook par chating toa thik sain kar leta hu.maire kuch dost kahtey hain ki tu sharmata hain agar esa hain toa main kya karu plz help because i am purshuing mba or mujhe future main esa inviornment he melega jismain girls hogi.last question mujhe koi ladki like karey yeh main kaise pata kar sakta hu plz reply mam

Betaaa!!! No worry please!!!

Betaaa!!! No worry please!!! beta everyone is differnet, yeh toh maanate hain na aap? Kyaa aap apne baki doston ke carbon copy hain, nahin na?So why worry.
Ok aap keh rahe hain ki ladkiyoun s ebaat karnemein bahut pareshani hoti hai right, so yeh soorat baki ladkon se baat krne mein nahin? naye logon se dosti mein nahin? Fine.
Listen, ho sakta hai ki ladkiyoun se baat karne mein aap hichkichate hain kyouni aap dartey hain, ki kahin mein inke saamne" kum" na nazar aaon, kahin yeh mujhe rejec na kar de, kahin mein inki nazar mein chota na rahun... all issue of rejection.
Beta, asia bilkul nahin hai. Aap smart , saaf suthre, hasmukh insaan hain , hain na? Koi gandi baat ya ladkiyoun ko neecha samjhna, ya shareer se badbu aana, aisee koi stithi? nahin na? Toh phir kya sharmana. Just relax beta. No worry. Aaj aapko aisa mehsoos ho raha hoga lekin aap apne aap pe vishvaas rakhiye aur ahista ahista se complex bhi chala jayega. 
Yeh koi zaroori nahin ki bahut saari batrin karien, haan lekin jo karien achchi, simple, bilkul apne style ki batein karin, aur un se jo ki aapko easy lage comfortable lage.Ok beta?
All the best.

love

thanks for 1 st quistion mam and mera aap nain last quistion ka jawab nhi diya ki agar mujhe koi ladki like karti hain toa mujhe kaise pata chalega. mujhe agar koi ladki pasand hain or main us ladki sain baat karna chahta hu per starting kaha sain karu? main aap sain yah jan na chahta hu ki app online bhi maire doubt clear kar saktey ho such as mobile ,facebook chating,other sourcess

Oye hoye, sorry beta, very

Oye hoye, sorry beta, very sorry. Miss ho gaya. Beta suno, sabse pehle toh yeh ki koi ladki hume pasand kartee hai yeh kaise pata padega. Yadi woh tum se achce se baat kartee hai, milne ki koshish kartee hai, sms ya call ya Fb dwara sampark mein rehtee hai, toh samjh saktein hain ki woh tumhaari company like kartee hai, hain na? Theek uss hee tareh jaise ki aap kisi ko pasand kartey ho toh kya karoge. Lekin iska yeh matlab nahin ki woh aapse mohaobbat kartee hai, ya sex karne ko tayyar hai... beta pehle Dosti!! Kya pata aapko unki company sirf ek achche dost ke liye hee pasand ho aur kuch nahin!! Same unke liye bhi, hain na?
Beta hum logon ko unke Gunn ke liye pasand kartein hain, na ki kuch aur, aur woh bhi hume humare values, nature, aur sache dost ke liye hee chunnte hain. Paisa, looks, family stauts, yeh sab matter nahin karta. 
So lagata hai koi aisi lucky girl hai jisko aap like karte ho, yes?
Ok sabse pehle, unhe bina kisi hichkichahat ke, bina darre unhe approach karo aur apne aap ko introduce karo, Hi mera naam ABC hai...aur aap kya karte hain woh bhi bata sakety hain. yeh bhi keh saktey hain ki mein aapko bahut dino se dosti ke liye request karna chahta tha.... something like this. Phone ya FB address maang saktey hain, FB better hai, yadi woh apna numbe rnahin dena chahein... yeh bahi aap keh saktey hain... agar aapko agree ho toh aap mujhe FB pe apna friend bana sakteen hain, yeh raha mera address, saath hee mera phone number bhi hai... yeh aap ek chote se kaagz mein , visisting card jaise , saath le jaa saktey hain. Phir choice unki hai, ki woh aapko likhein/ call karein ya chat karein, hain na? Aur JO BHI woh decide karein, aapko accept karna hai, na ki force karna hai, ok beta?
Og course aa hume FB pe likh saktey hain, koi na koi aapko respond karega. Nahin toh aap yahan email bhi bhej sakten hain :auntyji.lovematters@gmail.com. Jahan  bhi aap likein thoda silsila bata deejiyega, taki jawaab dene mein aasani ho.
Ok beta, All the best
 

sex

mai 24 saal ka ladka hu.meri cousin bhahan bhi 24 saal ki hai..hum dono apas mai bhahut open hai. Wo muje seduce karti hai, iska kya matlb hai. She love me

Cousin and sex

 
 Nahin iska aisa koi matlab nahin hai. Suniye, bahut baar kyounki hum ek doosre ke aas paas rehtey hain, saath uthte baithte hain toh kuch nazdeekiyan ban jaati hain. Ab open se aapka kya matlab hai main sirf andaaza hee laga saktee hoon, lekin koi bhi kadam uthane se pehle, iske parinaam bahu bhaanti soch leejiye. Shayd is baat par bhi vichaar kar leejiye ki kuch rishton mein sex interfere na kare toh shayad behtar ho. baaki aap dono Balig hain, samjhdaar hain, soch samaj ke hee nirnay leynge, I am sure.

ladki k bare m

ek ladki h jo mere mohlle m rhti h m ose bahut like krta hu jb b m oske ghar k pass sniklta hu to wo muje gur gur k dekhti h m b ose dekhta hu to m ye kese pta kru k wo muje like krti h ?? Raj

  Beta ji jab aaplog mujhse

 
Beta ji jab aaplog mujhse yeh sawaal poochtey ho na, toh mujhe badi hansi bhi aati hai!! Beta ladki aapko like karti hai ya nahi, yeh toh sirf dekh dekh ke toh pata nahin chalega na, Raj. Chalo, ab aage. Jab woh milein to hello hi kar saktey hain, thodi baat cheet kar saktey hain, ya phir unhe friendship, SIRF frindship ke liye welcome kar saktey hain, unka phone no YA e-mail, ya FB pooch saktey hain... lekin in sab baaton ke liye, pehle Hello to bolna hee padega na. Come on Nahin karoge to kabhi pata nahin chalega. All the best.

love matter

Mae kisi se pyar krta hu pr use prpose nhi kr pata hu kyoki wo samne ati hai to meri awaj band ho jati hai wo meri frind hai mujhe dr hai ki ager mene use prpose kiya to sayad wo mana krde aur frindship khatm kr de me kya kru btao

Bahut Pyaar sawaal bahut ehem

Bahut Pyaar sawaal bahut ehem baat!!! 
kahin pyaar ke chakkar mein dosti bhi na khoni pad jaye. Sabse pyaari baat to beta mukhe yeh lagi hai ki aap dono dost hai aur aap yeh rishta khona nahn chahtey hain. Lekin doosri baat yeh bhi hai ki ab toh aapke mann mein pyaar ki bahavna aa gayee hai aur ab aap har cheez ko shayad us hee nazar se dekhte hain, hain na? 
Ok beta, iska samadhaan sirf ek hai aur woh hai, un se baat kar na. So pehle toh aap yeh toh jaant hee honge na ki woh kisi aur ko toh pasand nahin kartee? Kisi aur ki taraf koi aakarshan toh nahin? 
So jo aap hum se keh rahen hain na, ki kuch bolna chahtey hain, lekin dosti nahin khona chahtey, exactly yeh hii un se bhi keh saktey ho...aur uske baad unhe thoda sochne ka samay do... unhe aashwasan dilao ki jo bhi woh decide karein aap usee sweekar kar leyenge, aur is baat pe amal bhi karo. Yadi woh abhi ready na hon, toh koi baat nahin, aap apni dosti barkaraar rakho, is baat ko bhulate hue... aur yadi haan hui toh phir bhi, dosti pukki honee chahiye. OK? 
Best option, aamne saamne relaxed ho kar, baat ho jaye. Next option, Chitthi ya e-mail Lekin haan kabhi na kabhi toh baat karnee hee hogee... aur phir bhi mann na maane, toh aaj nahin toh kal sahi, jaldi kyaa hai? Ok?
Now all the best and jo bhi ho, hume batana. Pata hai na, Pyaar keeya toh darna kyaa , lekin yeh bhi ki achche dost milna bahut hee mushkil hai. 

love AND RELATIONSHIP

I LOVE ONE GIRL NEAR MY WORK...BUT I DONT KNOW SHE LOVE ME OR NOT ..TELL ME ANY IDEA HOW I KNOW ABOUT HER THINKING ABOUT ME . I FEEL TO DANGEROUS TO ASK SHE ABOUT LOVE

Do you know her? have you

Do you know her? have you spoken to her, met her a few times, gone soemwhere with her, like for a snack or movie or soemthing...?? Near your work meaning? You guys work in the same office or what? How much do you know her that you LOVE her?
Beta get to know her first, only then will you know if you really love her and if she has any feelings for you... base your love on the other persons values, habits, behaiviour not looks!!
You go and tell her I LOVE YOU  she responds WHO ARE YOU...  thats no good is it?
Pehle jaan pehchaan toh kar lo... aap  loge bhi na aaj kal, ek dum INSTANT!! 

Confusing relationship..pls help me out...

Mai 5 years se relation ship me hoon. par ai aaj tak samz nahi pai ke mere life partner ko kaise samzu??? woh mere liye ek pehali ban jata hai.. aaj 14th feb ko usne muze just wish karna bhi jaruri nahi samza.. ulta subah se mai hi use bar bar call kar ke baat karne ki koshish kar rahi hoon... woh muze jyada attention nahi deta iska matlab mai kya nikalu?? Hum 5 saal se relation me hai.. kafi taan tanavon se humara relation gujra hai.. hum ekdusare se saal me ek baar ya 2 bar mil pate hai.. aaj to use mile pure 2 saal ho chuke hai.. waise Hum mere birthday pe milne ka plan kar chuke hai .. par iske allawa hum just ek normal talk kar pate hai.. jaise shuru me humare rishte me ek romatic mood tha woh ab lagbhag khatam sa ho gaya hai.. kya mai is rishte ko ek healthy rishta manu????? mai kya karu??? pls help me out...

Bitiya, yehi sawaal main apse

Bitiya, yehi sawaal main apse poochtee hun... ek Vyakti aapse us kism se baat bahin karta jaise pehele, woh feeling nahin aa rahe, aap log hardly milte hain, 5 saal mein 10 baar ... jab ki 5 saal mein din hain 365x5=1825. Aapke liye valentines day bahut ehem lagta hai ekin unhe shayad iska ehsaas bhi nahin... woh aapko attention nahin deyte, aapki pasand ko ehmiyat nahin deyte, aapne 2 aal se unhe dekha nahin... kya pata kya changes aa chuke hon, aap ek doosre ke daily contact mein hain ya nahin , yeh nahin pata, lekin agar sab kuch itna door door hai, saath hee saath tanaav hai... toh aap is rishte ko ab bhi swasth , healthy samajh saktee ho? Nopes sorry beta, Nahin.
Is rishte mein na sirf woh, lekin shayad aap dono thak gaye hain, bore ho gaye hain lekin samapt karne, ya final decision leyne se katra rahein hain... think about it. Koi phayada hai isme? Jis rishte mein josh nahi, pyaar kamzor padh raha ho, jisse achcha karne mein dono log pratibadhh nahin, uska time shayad poora hua... hai na? 
Beta ya toh aap dono clearly iske baare mein baat karo, thoda time do aur dekho us samay mein koi bada badlaav aata hai ya nahin, aapki jo umeedein hain woh poori hoti hain ya nahin, aur phir ek final nirnay leejiye.
Long Distance rishte waise bhi bahut hee kathin hote hain, inka "failure rate" high maana jaata hai, unless dono partner bahut hee zyaada commited hon, interested ho.
Beta jis cheez ka time aa gaya, use jaane dena hee behtar hai... shanti se, aur uske pyaare pal yaad kar ke, zindigi ka naya chapter shuru karne mein hee sense bhi hai aur ek nayee umeed bhi.
All the best beti. 

masturbation

aunty ji...mene masturbation 12 ke umr me suru kr diya tha...kya krta ek ldki thi.school me .bhut hot the.....bt tb se lgatar ussi ke bre me hr samay sochta rhta aur masturbation kr leta ....abhi 22 sal ka hu 20 ke umr se masturbation krna kam kr diya ....kyonki weakness ho rhi the .ab ..josh ke kmi lgti hai...thk bhut jldi jata hu...kya kru ......

12 se 22

Chalo beta ab toh sab theek hai na, ab aapki sehat bhi theek hai aur thakan bhi nahin, hain na?? shayad iki koi aur vajeh hogi jaise ki achchi khurakh, swasth mann, swasth chintan... na ki hastmaithun mein ghataav, yeh bhi ho sakta hai ki mann hee mann aapne yeh soch rakha tha ki Hastmaithun se hee yeh sab ho raha hai, sorry beta , nahin.
Ab rahee asli baat, 12 saal ki umar mein aapko ek HOT ladki mili aur asia lagta hai ki aap keh rahe hain ki uski vajeh se aapne yeh shuru kar deeya, i dont think so beta... jo keeya aapne keeya, iski zimmedari ladki pe mat daalo!! Ki main kya kart... wah!!! Kya karta?? naheen dekhta, ahin sochta uske baare mein, yeh sab toh keeya nahin... beta sirf tumhaari soch aur bakiyon ki ko line pe laane ki koshish kar rahee hoon. Ok ab chalo. 

testicles ltakna

aunty ji thnx for ur....work.. mere age 23 year hai...aur mere testicles...abhi se ltkne lg gye hai....aunty ji me kya kru...kya yh hastmathun ki vzh se hua hai...??

beta is mein koi bat nahin

beta is mein koi bat nahin beta.. yeh bilkul hee common hai. So dont worry aur iska hastmaithun se koi sambandh nahin. yeh padh leejiye: http://goo.gl/dFipW

medicine related

aunty ji namsty ..mera nam pawan hai.ap log bhut acha kam kr rhe ho...bt me chahta hu..iss trh ke knowledge sb ke pass phunche ....nd hope for it... aunty ji... me market me bikne vale medicine viagra. etc ke bare me jyada janna chta hu....kya yh sb kaam krte hai...

Arre haan beta Viagra jaise

Arre haan beta Viagra jaise drugs toh kaam kartey hain lekin yeh jo neem - hakeem type hain na, yeh nahin. Ok pehel toh yadi aap sirf jaankaari ke liye pooch rahen hain to h theek hai, kyonki iska istemaal bahut extreme situations mei advised hota hai... koi common drug nahin hai yeh. Baki jo dawaiyan long lasting , lamba size, lamba samy promise karteen hai na, ispe beta hum vishwaas kartey nahin. Inka kya composition, kya yeh one time use hain ya dependency kartee hain... unless koi doctri salah na lee ho, inse door rahiye. bas.

sahi ya galat ??

main 24 saal ka hu . meri 3 girlfriends bhee rah chuki hain , lekin maine kabhee kisis ke saath sex naii kiya pta naii kyun !! ya to apne sanskaro ki wajah se ya samajik dar se ya mujhe sahi naii laga ( jabki ladkiyon ki taraf se koi objection naii tha ) , mere dost mera mazak udate hain ki mai duniya ka sabse bada bewkoof hu . sometimes i got little tense..... isnt it not dumbness/foolishness to remain virgin till dis age ?? havent i lose the fun @ my college time (as according to my friends)........ mam aap bataiye maine sahi kiya ya galat ??

Beta aapke is question ko toh

Beta aapke is question ko toh main respond kar chuki na? Jab sex ke liye aap KHUD apne aap ko tayyar samjhen, uske aanad ke saath saath uska mahatve samjhein, zimmedaari le paye, tab hee right time hai. Doston yaaron ki Ghadi mein sex ka time kabhi bhi ho, aap apne hisaab se chal rahein hain, isse aur sahi kya ho sakta hai. All the best.

hello mam! ho sakta hai aapko

hello mam! ho sakta hai aapko mera Q ajeeb sa lage fir bhi mai ye janna chahta hun ki. kya sambandh banane me ladki ko kuch takleef jaroor hoti hai. ese me ye bada ajeeb sa hai ki apne sharirik sukh ke liye ek krurta bhari prakriya se gujra jai. pata nahi mujhe aisa kyun lagta hai ve bhavanatmak lagaw ke karan kahin na kahin compromise karti hain. lucknow.

Hmmmm Bahut gehri soch aur

Hmmmm Bahut gehri soch aur shayd aaj ki saamjik stithi jahan aurat ko insaan to door ek vastu se hi kum samjha jaa raha hai... bahut uchit bhi. Beta, yadi sex ka sambandh, pyaar, izzat, narmi se shuru keeya jaya, dono saathiyon main taal meil ho, razamandi ho, toh phir yeh zaroori nahin ki har baar sex takleef aur peeda utpann karega... nahin! Haan lekin yeh bhi utna hee sach hai ki bina mahila ka mann jaane , uske shareer par haavi ho jana, use apni vastu , property ki tareh istemaal karna, yeh vaishat hai. Mardon ko mahilaon ko, apni saathi ko pyaar aur izzat dena, uske shareer ko izzat dena , har mard ko aana chahiye...isse pyaar aur nazdeeki bhi badhtee hai aur sex ke rishte bhi sundar bantey hain. Hume likhne ke liye, dhanyawaad.

kya muje wo like karti hai ?

mane haal hi me ek ladki ko dekha wo mere collage padti h. wo muje 4-5 din se line de rhi h. or me bhi line de rha hu . or me use bahut like karta hu. uske sath padne wali uski friend se jo ki uske sath rahti h. mane uski dost ko kah diya ki me uskolike karta hu. ? uske baad 2 din ho gye or me uska jawab kaise lu or kya wo muje accept kar legi ?

Haan Ki Na

Bete, hume likhne mein der ho gayee na... sorry. Bhai ab tak to tumhe jawab mil hee gaya hoga... zara batao to, kya hua? Umeed kartee hun ki tum dono ek saath khush ho, aur agan kis vajeh se ek saath nahin ho toh bhi khush ho.

mere bete ki problm

mere bete ki age 12 sal hai...and uski night fall ho jaati hai vo mere bagal me sota hai isse mere uper kuch problm nahi hogi na...mai uski maa hun...aur uska night fall kaise band hoga..per night ho jaata hai ...jisse cloth gande ho jaata hai...isliye mai uska hath se nikal deti hun...phr do din bad phr suru ho jaata hai...kya karun ...

Nightfall, swapndosh

yeh kaisee baatein kar raheen hain aap? Kuch baatein aisee hain jinkee line paar na ho toh behtar hai. yeh koi naak saaf karne waali baat nahin hai, ladke ke niji ang se sambandhit hai aur sex se bhi.
Mere nazariaye mein yeh theek nahin hai. Apne bete ko jaankari deejiye aur apne aap ko saaf karne ke tareeke bataiye. Kya aapke ghar mein aapke pati, bade bhai jasie loge nahin hain? Unki madad leejiye.

mai ak ladki se pyar karta hu

anty ji mai ak ladki se pyar karta hu lekin jaise mai pahle tadpta tha ab wo tadap nahi hai mere andar kya aisa hai ki wo mere liye nahi tadap rahi hai kyo ki mai kal usse baigair bataye mila aur wo mujhe dekhi to bahut gussa hui aur boli ki milna ho to bta ke mila karo mai usse uska pars manga to nahi de rahi thi pahle to de deti mai jabarjasti usse manga to vo di lekin mai chek karne laga to wo mujhse pars chhin li aur boli mai ja rahi phir rat me bat hui to wo boli ki mera koi saman chhuye mujhe achha nahi lagta aur mai tumse pyar karti hu aur mai kahta hu sex karne ke liye to bolti hai sadi ke bad kya vo mere sath flrt kar rahi hai ya pyar karti hai mujhe uske upar sak hai mai kya karu plz helf me

Kitne door kitney paas

Bete delay ke liye very sorry. Achca yeh batao, ki agar koi aapka saaman haath lagaye, usse check kare, chaan been kare- toh aap kya sochogey, ki yeh pyaar ki nishani hai? Nahin beta, yeh shaq ki nishani hai, bharosa na hone ki nishani hai- jaise ki aap kuch bura dhoondh rahe hain. Ab agar pyaar shuru hone se pehle hee yeh sab  ho jaye, toh beta pyaar ko badhne ki jageh hee kahan milegee?? sirf shaq aur shuba ki jageh banegee, aur woh pyaar se koson door hai. Hai na?
Woh tumhare saath sex nahin karti, kehtee hai shaadi ke baad, toh isse tum filrting samajh rahe ho? Sex karna kya pyaar ka proof hai? Woh bhi toh yeh keh sakti hai, ki agar pyaar kartey ho toh sex ke liye force mat karo.
Beta, saaf slate se shuru karo. Shaq, shuba, doubt ko khatam karo aur bharosa, trust, vishvaas par apna rishta banao. Ek doosre ko samjho, pyaar do, ghoomo, naye naye chezein karo, jaise picture jaana, walking jaana, gaana sunna....isse tumhari dosti bhi badhegee aur pyaar bhi.
All the best beta.

ANTY JI MAI AK LADKI SE PYAR KARTA HU

anty ji mai ak ladki se pyar karta hu 5 mahine se mera rista hai pahle to sab thik chal raha tha aaj ak mahine se roj ladai ho rahi hai ladai hone ka karan uske dost ladke hai aur mai ak din confres kar ke usko usse bat karwaya to uska dost naraj hokar phone kat diya fir usne mera phone kat ke usse bat karne lagi aur mujhse kahti hai mai tumse bahu pyar karti hu maine usse ka kamre pe ane ke liye to wo boli mai aungi lekin usi raat usne 12 msg kiye kisi no. pe phir mai subah puchha kya hua aogi to usne saf mana kar diya mai nahi a paungi to uske bad ladai hui phir aaj uske ak aur dost se bat hui confrensh pe vo bola mera uska rista bhai aur bahan ka hai fir usne naraj hokar phone kat diya phir aaj isne phir mera phone kat diya aur boli mujhse bat mat karna ab mai tumhe chhod rahi mai bhi bola mai dhokha nahi dunga tum chahe de do kya mai phone karu ya na karu aur mai do bar phone kiya to wo kat di plz anty ja meri madad kriye

Karoon ya na karoon

Beta mujhe jawaab dene mein der ho gayee aur I am sure tumne koi upay nikal hee liya hoga. Ab mera kuch bhi kehna shayd theek na hoga, lekin jo tumne us waqt likha tha, uski basis pe toh main beta yeh hee kahungee, ki nahin beta, ab koi phone ki zaroorat nahin. Tumne apna pyaar dikhaya, vishvaas dikhaya, ab woh yadi aise behave kar rahee hai, toh rehne do. Dekho woh aapko waapis bulatee hain ya nahin... yadi nahin, toh behtar hai ki yeh baat abh hee samapt ho jaye aur yadi haan, to phir aap dono baith ke saaf saaf baath karo. Doosre dost hona koi burai nahin, lekin yeh 20-25 sms toh maine to kabhi apne bahi ko nahin bheje!! Aur beta ek aur baat, aap young log ek doosre ke Niji maale mein kyon ghuste hain, yeh uska phone cheena, confrenece call pe aana, usse baat karna... aap apni GF se rishta rakho na, agar woh koi galat baat kar rahee hai toh usse poocho, na ki doosre aadmi se... samjhe?
Mair sure hoon tume sacha kadam hee uthaya hoga. all the best.

ladkio may sex bdhane kay lie koi tablet

ladio may sex bdaney ki tablet HAI jo turant aser KREY AGER HAI TO PHORAN BTAIE.

Sex ki tablet

Jis din aisee koi Vishvasneey tablet ban gayee na, us din toh woh company ki chandi nahin sona samjho!!
nahin beta, aisa nahin hai. Ladkiyon to tayyar hone mein thoda tie lagta hai, iske baare mein yahan padh lo.http://goo.gl/MqdqB

love ya dosti

agar aap kisi ladki ko pasand karte hai aur aap ka us se koi rista nahi hai to aap us se frienship kaise karenge

love ya dosti

 
WOW!! Yeh hui na baat!! OYE PUTTAR,  mein sachche logon ko bada like karteen hoon. Thanks Gods tumne yeh kaha ki pasand, na ki direct Pyaar. Beta - kya tumhe lagta hai woh bhi tum se dosti mein interested hai? Koi baat nahi. Koi Safe jageh dekh kar, jahan use kisi bhai, mummy, daddy , aunty ka darr na ho, use directy approach kar. “ Hi .....” jo bhi uska naam hai, “ Mera naam hai...” – jo bhi tumhara naam hai. “Main bahut dinon se aapko dekh raha hoon, kya aapke paas 5 minute ka time hai, koi problem toh nahin?”
 Aise. Ho sakta hai woh dark e bhaag jaye ya phir ruk jaye. Ruk jaaye toh phir dosti ka haath badhao- SIRF dosti. Saaf bolna,” mein koi propose nahin kar raha, sirf dosti ke liey pooch raha hoon, aapke liye koi probem nahin karna chahta, so agar aap meri dost bana chahe toh ....”.Phir apna mobile number de dena, maangna mat. Keh dena, aap mujhe sms kar ke bata dena, ya phir call karna. Theek hai Puttar? Yeh bhi keh sakte ho ki yadi Diwali tak aapka koi sms nahin aayato better hai, phir main wait nahin karooga aur promise karta hoon kisi waqt bhi pareshan nahin karoonga.  Then lets see, unka kya reaction hai, theek hai? All the best beta, Happy Diwali.

pyar

hm 1 ldki se behad pyar krte hai par problm ye hai ki wo mujhese kehti hai main bhi tmse pyar krti hu par kbhi bhi mujhe yeh feel na hua ki wo mujhs pyar krti hai,ab wo mujhse baat bhi na krti hai aur na hi wajah batati hai ki wo kyu aisa kar rhi hai.kya mujhe use bhul jana chahiye?

love

mai ussa bahut pyaar karta hu par wo mujh se sirf dikhawti pyar karti hai nahi he mera se acha se baat bhi nahi karti. ab mai kya karu mujhe apki help ki jarurat hai. pls help me...

sacha ki jhootha

 
Tumne kaise tay keeya ki woh dikhawati “pyaar” karti hai? Aur koi tumse achche se baat na kare toh yeh toh tay hai ki is mein koi payar nahin!  Yeh rona dhona band karo aura age badho. Tum kisi ko pyaar de rahe ho, woh uski kadar nahin karti, theek se baat nahin karti to tum wahan kaya kar rahe ho?  Apna pyaar aur feelings ma waste karo Puttar. Kisi deserving candidate ke liye rakh lo, jaise ki aaj hee phir se bane President Obama, nahin Buddhu, pyaar nahinnnn, Deserving candidate.  Hahahaha- chal apni Aunty jasise mast ho ja!!

hm ek dusre ko bhut pyaar krte lekin usnee dusre k dwara mna kr

hm ek dusre ko bhut pyaar krte he lekin usne dusre k dwara mna kr diya jb mene kaaran pucha to koi jawaab nhi muje kuch smj nhi aa rha he ki wo kya chahti he, wo 15 dino k liye bhar gyi thi to mene use dusro pr call krke bhut preshaan kiya ishliye usne mna kiya to pta nhi ab aap hi btaye kya kru

Pyaar ya pareshaan

 
Main theek se samjheen nahin, “dusro pr call krke” kya likha hai. Yeh zaroor samjh gayee ki aapne unhe phone karke abhut pareshaan keeya. Pehle toh unhone aapko mana kar deeya, phir aap unhe pareshaan karte rahe, ab pooch rahe ho kya karoon. Kamaal Hai. Aur isse bhi bada kamala toh tab hoga beta agar tum yeh kaho ki woh maan gayee tumhaari baat. Beta yeh call  karna, peecha karna, shaq karna, tum sab mein kahan se aa gayee hain- yeh pyaar nahin hai Puttar yeh toh Darr waale Shahrukh Khan ki khartanaakh aadatein hain. Band karo yeh sab. Agar tumhara pyaar saccha hai to Vishvaas bhi karo, Izzat bhi karo...yeh nahin ki kisi ko pareshaan karo, ninda karo ki woh jageh jageh logo se chuptee chupatee rahe. Ab aage se asie nahin karna beta, Pyaar ka naam kharaab hota hai. Chal Shabash.

Ghar se nikalte hee

me ek ladki se pyar karta hu wo mere ghar ke samne se nikalti he to mere ghar ke samne jarur dekhati he me use kese prapos karu ya usko kya reply karu plz. answer do...

अगर वो व्यक्ति जिस से आप प्यार करते हो, आपसे प्यार ना करे तो ये बहुत ही कष्टदायक भावना है। आपको सामान्य महसूस करने में वक्त लग सकता है। आगे पढें।

आर एन डब्ल्यू - १० भाषाओँ में होलैंड से समाचार एवं विश्लेषण, दुनिया भर में २४ घंटे सातों दिन रेडियो, टेलीविजन और इन्टरनेट पर I